Aye dil dil ki duniya me
Aisa haal bhi hota hai
Bahar koi hasta hai
Andar koi rota hai
Aye dil koi pehchana nahi
Kisi ne ye mana nahi
Kisi ne ye jana nahi
Kisi ko batana nahi
Dard chupa hai kaha
Aye dil dil ki duniya me
Aisa haal bhi hota hai
Bahar koi hasta hai
Andar koi rota hai
Tune mujhse wafa nahi ki
Tujhko kaise wafa milegi
Tune mujhko dard diya hai
Tujhko kaise dava milegi
Seene me uthate hai armaan aise
Dariya me aate hai toofan jaise
Kabhi kabhi khud hi majhi
Kashti ko dubota hai
Aye dil dil ki duniya me
Aisa haal bhi hota hai
Bahar koi hasta hai
Andar koi rota hai
Kaante chunkar tera daaman
Phoolon se main bhar jaunga
Isse badi saza kya hogi
Maaf tujhe main kar jaunga
Hogi kisi ko pehchan kaise
Pyar me hote hai kurban kaise
Humko ye maloom na tha
Pyar bhi ik samajhauta hai
Aye dil dil ki duniya me
Aisa haal bhi hota hai
Bahar koi hasta hai
Andar koi rota hai
Aye dil koi pehchana nahi
Kisi ne ye mana nahi
Kisi ne ye jana nahi
Kisi ko batana nahi
Dard chupa hai kaha
Aye dil dil ki duniya me
Aisa haal bhi hota hai
Bahar koi hasta hai
Andar koi rota hai
Aye dil dil ki duniya me
Aisa haal bhi hota hai
Bahar koi hasta hai
Andar koi rota hai.