Aaaaa…Aaaaa…
Zamane ne kaha tooti hui tasweer banti hai
Tere darbaar main bigdi hui taqdeer banti hai
Tareef teri nikli hai dil se
Aayi hai lab pe ban ke qawaali
Shirdi wale sai baba
Aaya hai tere dar pe sawali
Shirdi wale sai baba
Aaya hai tere dar pe sawali
Lab pe duayen aakhon main aansoon
Dil main umeedein par jholi khali
Shirdi wale sai baba
Aaya hai tere dar pe sawali
Dar pe sawali, aaya hai dar pe sawali
baba
Shirdi wale sai baba
Aaya hai tere dar pe sawali
Ooo…Ooo…
O mere sai deva tere sab naam lewa
O mere sai deva tere sab naam lewa
Zuda insan saare sabhi, tujhko hain pyare
Sune fariyaad sabki, tujhe hai yaad sabki
Bada ya koi chhota, nahi mayoos lauta
Ameeron ka sahara, gareebon ka guzara
Teri rahmat ka kissa bayan akbar kare kya
Do din ki duniya, duniya hai gulshan
Sab phool kante, too sab ka mali
Shirdi wale sai baba
Aaya hai tere dar pe sawali
Khuda ki shaan tujhme
Dikhe bhagwaan tujhme
Khuda ki shaan tujhme
Dikhe bhagwaan tujhme
Tujhe sab mante hain
Tera ghar jante hain
Chale aate hain daude
Jo khush kismat hain thode
Yeh har rahi ki manzil
Yeh har kashti ka sahil
Jise sab ne nikala
Use toone sambhala
Jise sab ne nikala
Use toone sambhala
Too bichhdon ko milaye
Bujhe deepak jalaye
Too bichhdon ko milaye
Bujhe deepak jalaye
Yeh gam ki raatain, raatain yeh kaali
Inko banade id aur diwali
Shirdi wale sai baba
Aaya hai tere dar pe sawali
Lab pe duayen aakhon main aansoon
Dil main umeedein par jholi khali
Shirdi wale sai baba
Aaya hai tere dar pe sawali
Shirdi wale sai baba
Aaya hai tere dar pe sawali
Shirdi wale sai baba
Aaya hai tere dar pe sawali
Shirdi wale sai baba
Aaya hai tere dar pe sawali