Teri chhaya me tere charno me
Magan ho baithu tere bhakto me
Tere darbar mein maiya khushi milati hai
Tere darbar mein maiya khushi milati hai
Jindagi milti hai roto ko hasi milti hai
Tere darbar mein
Ek ajab si masti tan man pe chhati hai
Ek ajab si masti tan man pe chhati hai
Har ek juba tere o maiya geet gati hai
Bajate sitaro se meethi pukaro se
Bajate sitaro se meethi pukaro se
Gooje jaha sara tere uche jai karo se
Masti mein jhumein tera dar chume
Tere charo taraf duniya ye ghume
Aisi masti bhi bhala kay kahi milti hai
Aisi masti bhi bhala kay kahi milti hai
Jindagi milti hai roto ko hasi milti hai
Tere darbar mein
O meri shero waali maa teri har baat achchhi hai
Meri shero waali maa teri har baat achchhi hai
Karani ki puri hai mata meri sachhi hai
Shukh dukh batati hai apna banati hai
Shukh dukh batati hai apna banati hai
Mushkil mein ho bachche to maa hi kaam aati hai
Raksha karti hai bhakt apne ki
Baat sachchi karti unke sapno ki
Saari duniya ki daulat yahi milti hai
Jindagi milti hai roto ko hasi milti hai
Tere darbar mein
Rota hua aaye jo hasata hua jata hai
Rota hua aaye jo hasata hua jata hai
Man ki murado ko vo pata hua jata hai
Kismet ke maro ko rogi bimaro ko
Kismet ke maro ko rogi bimaro ko
Kar de bhala changa apne dularo ko
Pap kat jaye charan chhune se
Mahkati hai duniya maa ke dune se
Fir to maa aisi kya kahin milti hai
Fir to maa aisi kya kahin milti hai
Jindagi milti hai roto ko hansi milati hai
Tere darbar mein
Tere darbar mein maiya khushi milati hai
Tere darbar mein maiya khushi milati hai